काव्यगगन( kavyagagan)

जब जब छलके अंतरमन,भावोंं की हो गुंजन,शब्द घटाओं से उमड़ घुमड़, रचते निर्मल ...'काव्यगगन'! यह रेणु आहूजा द्वारा लिखा गया ब्लाग है .जो कि उनकि निजि कवितओं का संग्र्ह है!it is a non profitable hobby oriented blog.containing collection of hindi poetries.

Sunday, January 01, 2006

Akashar bhee hai boltey:

Akashar bhee hai boltey*

sach hee to kahaa hai kisee ne
kee akshar chup reh kar hai boltey
wo to dil ke baavon ko hai sanjotey

baavanaayen hee to hai
saree duniyaa mai ek see hee
kabhi khil-khil see hasee
aur kabhi do boondon see
aur oon muskaano ko
oon aasoon ko
ye ek naam dete hai
insaan ko insaaniyat kee teh tak
pahuchaney kaa ek paigaam dete hai

bas jeevan mai har jagah
vaani mai hai madhu-ras saa gholtey
per ye sach hai kee
askshar chup reh kar hai boltey

hotee hai jo oonkee dhwani
sun saktey hai sirf wahi,
jo zindgee se maut tak
sanjeedgee bhee
khushee se hai dhhotey
ek bojh kee tarah nahi
ek bachey ko oothaaney kee tarah
god me sehlaaney kee tarah

iseeliye akshar puraatan ho kar bhee
naveentaa kaa geet hai boltey
dey maun sandeshey veh lupt nahi hotey
aur kabhi kshay nahi hotey ......
-renu
*one day I read a poem in hindi_poetry@yahoo.group written by Shri.Deepak and the title of his poem was AKSHAR KSHAY NAHI HOTEY, and in responce to which this poem took birth.

4 Comments:

At 8:51 PM, Anonymous Anonymous said...

deepak 's comment on post "Akashar bhee hai boltey:":

adarniye renu ji,
ye adarniye wahi hai jiski charcha yahoo group par lagataar chal rahi hai. yahoo groups ke aapke link se yahan tak pahuncha aur aapki kavitaon ne man moh liya.
maine bhi inhi bhawnaon ke saath ek kavita likhi thi.

akshar
jo kshay nahi hote
manav ki bhanti nahi rote
ankit ho jate hain hriday par
haan akshar bhi bolte hain
tumne suni nahi abtak
shayad tum padhte likhte rahe ho aksharon ko
jaante nahi sach
bolne wale akshar naye nahi hain
sadiyon se suna rahe hain
ye daastaan apni
shabdo se bhi bade hain
ye akshar
jo jodte hain kabhi kabhi
jindagi bhi
avinashi awam nirantar hain jo
we kshanbhangur nahi hote
akshar jo kshay nahi hote

main blog nahi likhta aur group me bhi apni kavitayen dene me sankoch mahsus karta hun. karan shayad yahi ki main sabke saamne nagany hun.

 
At 8:53 PM, Anonymous Anonymous said...

This comment has been removed by a blog administrator.

 
At 9:09 PM, Blogger renu ahuja said...

AAdarniya Deepak jee,
aapkaaa shukriyaa
aapkey dwaaraa hindi poetry group me bheji gaee kavitaa AKSHAR JO KSHAY NAHI hotey, padney kee pashchaat hee hamney AKSHAR BHEE HAI BOLTEY naam se ye kavitaa likhee thee, Jaisaa kee aapney likhaa hai kee aap group me kavitaayen post karney me sankoch kartey hai, kyooki aap sabkey saamney naganya hai, to ham aap se itnaa hee kahengey kee jin bhaavon ko aapney piro kar apni kavitaa Akshar bhee......likhee thee ve aati sunder aur prernaa daayak hai aisey me aapki steethi Naganya nahi aapitu Agar-ganya ho jaati hai.!!! bhavdiya, Smt. Renu Ahuja.

 
At 2:32 PM, Anonymous Anonymous said...

rahimana dhaagaa prem kaa, mat todo chhitakaay.
TuTe se phir naa milai, milai gaanth padi jaay..

 

Post a Comment

<< Home

kavyagaganLiterature Blogs by Indian Bloggers kavyagaganLiterature Blogs by Indian Bloggers